केकड़ा पंचायत में शिक्षा व्यवस्था पर सवाल, जोगनीटोला में एक साल से किसान के घर में लग रही कक्षाएं Kekda panchayat mein shiksha vyavastha par sawal, Jogneetola mein ek saal se kisan ke ghar mein lag rahi kakshayein

 

केकड़ा पंचायत में शिक्षा व्यवस्था पर सवाल, जोगनीटोला में एक साल से किसान के घर में लग रही कक्षाएं  Kekda panchayat mein shiksha vyavastha par sawal, Jogneetola mein ek saal se kisan ke ghar mein lag rahi kakshayein


सिवनी। आज तक 24

आजतक 24 न्यूज़ के विशेष सूत्रों से मिली जानकारी के अनुसार, जनपद पंचायत छपारा की ग्राम पंचायत केकड़ा क्षेत्र में शिक्षा व्यवस्था को लेकर जानकारी सामने आई है। ग्राम पंचायत पौंडी के अंतर्गत जोगनीटोला स्थित शासकीय प्राथमिक विद्यालय का भवन जर्जर होने से लगभग एक साल से बच्चों की कक्षाएं किसान के घर में संचालित हो रही हैं। स्थानीय जानकारी के अनुसार, स्कूल की छत गिरने की स्थिति में है और मरम्मत के लिए आवेदन भी दिया गया था। विद्यालय में लगभग 4 से 5 बच्चे और दो शिक्षक पदस्थ हैं। शिक्षक नियमित रूप से कक्षाएं लेते हैं, जो शाम 4 बजे तक संचालित होती हैं। बच्चों को गणवेश और मध्याह्न भोजन उपलब्ध कराया जा रहा है। शौचालय सहित अन्य सुविधाएं अच्छी बताई गई हैं। भवन की मरम्मत और स्थायी व्यवस्था को लेकर सवाल उठ रहे हैं। इन समस्याओं के संबंध में बीईओ किरण पटवा से संपर्क करने का प्रयास किया गया, लेकिन उनसे संपर्क नहीं हो सका। इसलिए उनका विभागीय पक्ष जानने एवं प्रतिक्रिया प्राप्त करने के लिए व्हाट्सऐप के माध्यम से सवाल भेजे गए हैं। जवाब मिलने पर उनकी प्रतिक्रिया भी समाचार में शामिल की जाएगी।

Seoni | Aaj Tak 24

AajTak 24 News ke vishesh sutron se mili jankari ke anusar, janpad panchayat Chhapara ki gram panchayat Kekda kshetra mein shiksha vyavastha ko lekar jankari samne aayi hai। Gram panchayat Paundi ke antargat Jogneetola sthit shaskiya prathmik vidyalaya ka bhavan jarjar hone se lagbhag ek saal se bachchon ki kakshayein kisan ke ghar mein sanchalit ho rahi hain। Sthaniya jankari ke anusar, school ki chhat girne ki sthiti mein hai aur marammat ke liye aavedan bhi diya gaya tha। Vidyalaya mein lagbhag 4 se 5 bachche aur do shikshak padasth hain। Shikshak niyamit roop se kakshayein lete hain, jo shaam 4 baje tak sanchalit hoti hain। Bachchon ko ganvesh aur madhyahna bhojan uplabdh karaya ja raha hai। Shauchalay sahit anya suvidhayein achchhi batayi gayi hain। Bhavan ki marammat aur sthayi vyavastha ko lekar sawal uth rahe hain। In samasyaon ke sambandh mein BEO Kiran Patwa se sampark karne ka prayas kiya gaya, lekin unse sampark nahi ho saka। Isliye unka vibhagiya paksh jaanne evam pratikriya prapt karne ke liye WhatsApp ke madhyam se sawal bheje gaye hain। Jawab milne par unki pratikriya bhi samachar mein shamil ki jayegi।


Post a Comment

Previous Post Next Post