भजिया पंचायत के माध्यमिक स्कूल में शिक्षकों की कमी, चार साल से अतिथि शिक्षकों के भरोसे पढ़ाई Bhajiya panchayat ke madhyamik school mein shikshakon ki kami, chaar saal se atithi shikshakon ke bharose padhai

 भजिया पंचायत के माध्यमिक स्कूल में शिक्षकों की कमी, चार साल से अतिथि शिक्षकों के भरोसे पढ़ाई  Bhajiya panchayat ke madhyamik school mein shikshakon ki kami, chaar saal se atithi shikshakon ke bharose padhai


सिवनी। आज तक 24

आजतक 24 न्यूज़ के विशेष सूत्रों से मिली जानकारी के अनुसार, जनपद पंचायत लखनादौन की भजिया पंचायत स्थित माध्यमिक शाला भजिया में शिक्षकों की कमी का मामला सामने आया है। विद्यालय में लगभग 30 विद्यार्थी दर्ज हैं, जबकि एक नियमित शिक्षक और दो अतिथि शिक्षकों के माध्यम से शिक्षण कार्य संचालित हो रहा है। स्थानीय स्तर पर मिली जानकारी के अनुसार, पिछले चार-पांच वर्षों से विद्यालय अतिथि शिक्षकों के भरोसे चल रहा है। शिक्षकों की कमी को लेकर करीब एक वर्ष पहले बीआरसी लखनादौन को आवेदन भी दिया गया, लेकिन अब तक समस्या का समाधान नहीं हुआ। वहीं, विद्यालय में बीईओ के निरीक्षण और कार्रवाई को लेकर भी स्पष्ट जानकारी नहीं मिली है। विद्यालय में बाउंड्री वॉल नहीं होने से परिसर खुला पड़ा है। मुख्य सड़क किनारे स्थित विद्यालय में बच्चों के खेलते समय दुर्घटना की आशंका बनी रहती है। इन समस्याओं के संबंध में बीईओ श्रीराम पटले से संपर्क करने का प्रयास किया गया, लेकिन उनसे संपर्क नहीं हो सका। इसलिए उनका विभागीय पक्ष जानने एवं प्रतिक्रिया प्राप्त करने के लिए व्हाट्सऐप के माध्यम से सवाल भेजे गए हैं। जवाब मिलने पर उनकी प्रतिक्रिया भी समाचार में शामिल की जाएगी।

Seoni | Aaj Tak 24

AajTak 24 News ke vishesh sutron se mili jankari ke anusar, janpad panchayat Lakhnadon ki Bhajiya panchayat sthit madhyamik shala Bhajiya mein shikshakon ki kami ka mamla samne aaya hai। Vidyalaya mein lagbhag 30 vidyarthi darj hain, jabki ek niyamit shikshak aur do atithi shikshakon ke madhyam se shikshan karya sanchalit ho raha hai। Sthaniya star par mili jankari ke anusar, pichhle chaar-paanch varshon se vidyalaya atithi shikshakon ke bharose chal raha hai। Shikshakon ki kami ko lekar kareeb ek varsh pehle BRC Lakhnadon ko aavedan bhi diya gaya, lekin ab tak samasya ka samadhan nahi hua। Wahin, vidyalaya mein BEO ke nirikshan aur karwai ko lekar bhi spasht jankari nahi mili hai। Vidyalaya mein boundary wall nahi hone se parisar khula pada hai। Mukhya sadak kinare sthit vidyalaya mein bachchon ke khelte samay durghatna ki aashanka bani rehti hai। In samasyaon ke sambandh mein BEO Shriram Patle se sampark karne ka prayas kiya gaya, lekin unse sampark nahi ho saka। Isliye unka vibhagiya paksh jaanne evam pratikriya prapt karne ke liye WhatsApp ke madhyam se sawal bheje gaye hain। Jawab milne par unki pratikriya bhi samachar mein shamil ki jayegi।



Post a Comment

Previous Post Next Post