सोहागपुर ब्लॉक के सरकारी स्कूलों में शिक्षकों की कमी, बच्चों की पढ़ाई प्रभावित होने की शिकायत Sohagpur block ke sarkari schoolon mein shikshakon ki kami, bachchon ki padhai prabhavit hone ki shikayat
नर्मदापुरम। आज तक 24
आज तक 24 न्यूज़ के सर्वे और सूत्रों से मिली जानकारी के अनुसार, नर्मदापुरम जिले के सोहागपुर ब्लॉक की टेकापार पंचायत सहित सरकारी स्कूलों में शिक्षकों की कमी और शिक्षा की गुणवत्ता को लेकर सवाल उठ रहे हैं। टेकापार के मिडिल स्कूल में 100 से अधिक विद्यार्थियों पर केवल एक नियमित सरकारी शिक्षक और एक अतिथि शिक्षक कार्यरत होने की जानकारी सामने आई है। वहीं प्राथमिक स्कूल में भी केवल एक शिक्षक होने की बात कही गई है। ग्रामीणों का आरोप है कि पर्याप्त शिक्षकों के अभाव और पढ़ाई में अपेक्षित प्रयास नहीं होने से बच्चों का शैक्षणिक स्तर प्रभावित हो रहा है। इस संबंध में पिछले वर्ष विधायक एवं शिक्षा विभाग को शिकायत देने के बावजूद समस्या का समाधान नहीं होने की बात भी सामने आई है। इस विषय में सोहागपुर ब्लॉक के विकासखंड शिक्षा अधिकारी (बीईओ) श्री रामनरेश सिंह से संपर्क करने का प्रयास किया गया, लेकिन फोन पर संपर्क नहीं हो सका। व्हाट्सएप के माध्यम से सवाल भेज दिए गए हैं। उनका पक्ष प्राप्त होने पर उसे भी समाचार में प्रमुखता से प्रकाशित किया जाएगा।
Narmadapuram | Aaj Tak 24
Aaj Tak 24 News ke survey aur sutron se mili jankari ke anusar, Narmadapuram jile ke Sohagpur block ki Tekapar panchayat sahit sarkari schoolon mein shikshakon ki kami aur shiksha ki gunvatta ko lekar sawal uth rahe hain। Tekapar ke middle school mein 100 se adhik vidyarthiyon par keval ek niyamit sarkari shikshak aur ek atithi shikshak karyarat hone ki jankari samne aayi hai। Wahin prathmik school mein bhi keval ek shikshak hone ki baat kahi gayi hai। Graminon ka aarop hai ki paryapt shikshakon ke abhav aur padhai mein apeksheet prayas nahi hone se bachchon ka shaikshnik star prabhavit ho raha hai। Is sambandh mein pichhle varsh vidhayak evam shiksha vibhag ko shikayat dene ke bawajood samasya ka samadhan nahi hone ki baat bhi samne aayi hai। Is vishay mein Sohagpur block ke vikasakhand shiksha adhikari (BEO) Shri Ramnaresh Singh se sampark karne ka prayas kiya gaya, lekin phone par sampark nahi ho saka। WhatsApp ke madhyam se sawal bhej diye gaye hain। Unka paksh prapt hone par use bhi samachar mein pramukhata se prakashit kiya jayega।
