सरई कन्या हायर सेकेंडरी स्कूल में दो साल से होम साइंस शिक्षक नहीं Sarai kanya higher secondary school mein do saal se Home Science shikshak nahi
सिंगरौली। आज तक 24
आजतक 24 न्यूज़ के विशेष सूत्रों से मिली जानकारी के अनुसार, जनपद पंचायत देवसर के सरई स्थित कन्या हायर सेकेंडरी स्कूल में होम साइंस विषय की पढ़ाई को लेकर समस्या सामने आई है। जानकारी के अनुसार, स्कूल में पिछले दो वर्षों से होम साइंस का नियमित शिक्षक पदस्थ नहीं है। पहले पढ़ा रहे अतिथि शिक्षक को हटाए जाने के बाद नए अतिथि शिक्षक की व्यवस्था भी नहीं की गई। वर्तमान में लगभग 18 से 19 छात्राएं इस विषय की पढ़ाई कर रही हैं, लेकिन उन्हें पढ़ाने के लिए शिक्षक उपलब्ध नहीं हैं। इस संबंध में जिला शिक्षा अधिकारी और कलेक्टर कार्यालय में पिछले एवं वर्तमान शैक्षणिक सत्र के दौरान आवेदन दिए जाने की बात भी सामने आई है। छात्राओं की पढ़ाई प्रभावित होने के चलते शिक्षा विभाग से जल्द शिक्षक की व्यवस्था करने की मांग उठ रही है। इन शिकायतों के संबंध में बीईओ सुखदेव से संपर्क किया गया। उन्होंने बताया कि फिलहाल वे इस विषय पर बात नहीं कर पाएंगे। छात्राओं की पढ़ाई और शिक्षक की व्यवस्था को लेकर उनका विस्तृत पक्ष प्राप्त होने पर उसे भी समाचार में शामिल किया जाएगा।
Singrauli | Aaj Tak 24
AajTak 24 News ke vishesh sutron se mili jankari ke anusar, janpad panchayat Devsar ke Sarai sthit kanya higher secondary school mein Home Science vishay ki padhai ko lekar samasya samne aayi hai। Jankari ke anusar, school mein pichhle do varshon se Home Science ka niyamit shikshak padasth nahi hai। Pehle padha rahe atithi shikshak ko hataye jaane ke baad naye atithi shikshak ki vyavastha bhi nahi ki gayi। Vartman mein lagbhag 18 se 19 chhatrayein is vishay ki padhai kar rahi hain, lekin unhein padhane ke liye shikshak uplabdh nahi hain। Is sambandh mein zila shiksha adhikari aur collector karyalay mein pichhle evam vartman shaikshanik satra ke dauran aavedan diye jaane ki baat bhi samne aayi hai। Chhatraon ki padhai prabhavit hone ke chalte shiksha vibhag se jald shikshak ki vyavastha karne ki maang uth rahi hai। In shikayaton ke sambandh mein BEO Sukhdev se sampark kiya gaya। Unhone bataya ki filhal ve is vishay par baat nahi kar payenge। Chhatraon ki padhai aur shikshak ki vyavastha ko lekar unka vistrit paksh prapt hone par use bhi samachar mein shamil kiya jayega।
