मालीपुरा की सड़क पर भी घमासान, अध्यक्ष ने बताई शासन से बजट नहीं मिलने की वजह Malipura ki sadak par bhi ghamasan, adhyaksh ne batayi shasan se budget nahi milne ki wajah

 मालीपुरा की सड़क पर भी घमासान, अध्यक्ष ने बताई शासन से बजट नहीं मिलने की वजह  Malipura ki sadak par bhi ghamasan, adhyaksh ne batayi shasan se budget nahi milne ki wajah


विदिशा। आज तक 24

आज तक 24 न्यूज को सूत्रों से मिली जानकारी के अनुसार, जिला विदिशा नगर परिषद कुरवाई में कर्मचारियों के वेतन भुगतान और विकास कार्यों को लेकर शिकायतें सामने आई हैं। आरोप है कि स्थायी, अस्थायी और सफाई कर्मचारियों को छह से आठ महीने तक समय पर वेतन नहीं मिल पा रहा है। वहीं, मालीपुरा से बाजार तक की सड़क की हालत भी खराब है। करीब चार साल पहले बनी सड़क छह महीने बाद ही क्षतिग्रस्त होने लगी थी। वर्तमान में जगह-जगह गड्ढे होने से लोगों को आवागमन में परेशानी हो रही है। इसके अलावा वार्डों में विकास निधि के वितरण को लेकर भी सवाल उठ रहे हैं।

अध्यक्ष ने उठाया वार्डों में विकास निधि के असमान वितरण का मुद्दा

आज तक 24 न्यूज से हुई विशेष चर्चा में नगर परिषद अध्यक्ष आयशा हसरुद्दीन खां ने बताया कि कर्मचारियों के वेतन के लिए शासन से पर्याप्त राशि नहीं मिल रही है। करीब 20 से 25 लाख रुपये का मासिक वेतन बनता है, जबकि शासन से 10 से 13 लाख रुपये ही प्राप्त हो रहे हैं। सड़क के संबंध में उन्होंने बताया कि डामरीकरण के उसी वर्ष बाढ़ आने से सड़क क्षतिग्रस्त हुई थी। उनके अनुसार, निर्माण निर्धारित एस्टीमेट के अनुसार हुआ और तीन कंपनियों से जांच भी कराई गई थी। ठेकेदार को नोटिस जारी किए गए हैं। अध्यक्ष ने वार्डों में विकास निधि के वितरण में असमानता होने का आरोप भी लगाया।

Vidisha | Aaj Tak 24

Aaj Tak 24 News ko sutron se mili jankari ke anusar, jila Vidisha nagar parishad Kurwai mein karmchariyon ke vetan bhugtan aur vikas karyon ko lekar shikayatein samne aayi hain। Aarop hai ki sthayi, asthayi aur safai karmchariyon ko chhah se aath mahine tak samay par vetan nahi mil pa raha hai। Wahin, Malipura se bazaar tak ki sadak ki halat bhi kharab hai। Kareeb chaar saal pehle bani sadak chhah mahine baad hi kshatigrast hone lagi thi। Vartman mein jagah-jagah gaddhe hone se logon ko aawagaman mein pareshani ho rahi hai। Iske alawa wardon mein vikas nidhi ke vitaran ko lekar bhi sawal uth rahe hain।

Adhyaksh ne uthaya wardon mein vikas nidhi ke asman vitaran ka mudda

Aaj Tak 24 News se hui vishesh charcha mein nagar parishad adhyaksh Ayesha Hasruddin Khan ne bataya ki karmchariyon ke vetan ke liye shasan se paryapt rashi nahi mil rahi hai। Kareeb 20 se 25 lakh rupaye ka masik vetan banta hai, jabki shasan se 10 se 13 lakh rupaye hi prapt ho rahe hain। Sadak ke sambandh mein unhone bataya ki damrikaran ke usi varsh baadh aane se sadak kshatigrast hui thi। Unke anusar, nirman nirdharit estimate ke anusar hua aur teen companies se jaanch bhi karai gayi thi। Thekedar ko notice jari kiye gaye hain। Adhyaksh ne wardon mein vikas nidhi ke vitaran mein asmanata hone ka aarop bhi lagaya।



Post a Comment

Previous Post Next Post