बरेठा के सरकारी स्कूलों की बदहाल तस्वीर! जर्जर भवन, पानी-शौचालय गायब Baretha ke sarkari schoolon ki badhal tasveer! Jarjar bhavan, pani-shauchalay gayab
विदिशा। आज तक 24
आज तक 24 न्यूज़ के सर्वे एवं विश्वसनीय सूत्रों से मिली जानकारी के अनुसार, जिला विदिशा के कुरवाई ब्लॉक के ग्राम बरेठा में सरकारी स्कूलों की शिक्षा व्यवस्था बदहाल बताई जा रही है। ग्रामीण सुगम कुर्मी के अनुसार, गांव का एक प्राथमिक विद्यालय करीब एक वर्ष पहले गिर चुका है, जिसके बाद सभी बच्चों को एक ही हॉल में बैठाकर पढ़ाया जा रहा है। प्राथमिक और माध्यमिक स्कूलों में मिलाकर महज तीन से चार शिक्षक हैं। दोनों स्कूलों में पेयजल और शौचालय की व्यवस्था भी खराब है। पुराने शौचालय जर्जर हो चुके हैं। एक ही कमरे में अलग-अलग कक्षाओं के संचालन से बच्चों की पढ़ाई प्रभावित हो रही है। ग्रामीणों का आरोप है कि कई बार शिकायत के बावजूद जिम्मेदार अधिकारियों ने समस्याओं पर ध्यान नहीं दिया। खंड शिक्षा अधिकारी (BEO) से संपर्क का प्रयास किया गया, लेकिन कॉल पर संपर्क स्थापित नहीं हो सका। इसलिए संबंधित विषय में सवाल WhatsApp के माध्यम से भेजे गए हैं। खंड शिक्षा अधिकारी का जवाब एवं आधिकारिक पक्ष प्राप्त होने पर उसे भी आज तक 24 न्यूज़ में प्रमुखता से प्रकाशित किया जाएगा।
Vidisha | Aaj Tak 24
Aaj Tak 24 News ke survey evam vishwasniya sutron se mili jankari ke anusar, jila Vidisha ke Kurwai block ke gram Baretha mein sarkari schoolon ki shiksha vyavastha badhal batayi ja rahi hai। Gramin Sugam Kurmi ke anusar, gaon ka ek prathmik vidyalaya kareeb ek varsh pehle gir chuka hai, jiske baad sabhi bachchon ko ek hi hall mein baithakar padhaya ja raha hai। Prathmik aur madhyamik schoolon mein milakar mehez teen se chaar shikshak hain। Donon schoolon mein peyjal aur shauchalay ki vyavastha bhi kharab hai। Purane shauchalay jarjar ho chuke hain। Ek hi kamre mein alag-alag kakshaon ke sanchalan se bachchon ki padhai prabhavit ho rahi hai। Graminon ka aarop hai ki kai baar shikayat ke bawajood zimmedar adhikariyon ne samasyaon par dhyan nahi diya। Khand shiksha adhikari (BEO) se sampark ka prayas kiya gaya, lekin call par sampark sthapit nahi ho saka। Isliye sambandhit vishay mein sawal WhatsApp ke madhyam se bheje gaye hain। Khand shiksha adhikari ka jawab evam adhikarik paksh prapt hone par use bhi Aaj Tak 24 News mein pramukhata se prakashit kiya jayega।
