भानपुर जनपद के बड़ोदिया प्राथमिक विद्यालय का भवन 7-8 साल से जर्जर, छत से टपकता पानी और गिरते हिस्सों से बच्चों की सुरक्षा पर खतरा Bhanpura janpad ke Badodiya prathmik vidyalaya ka bhavan 7-8 saal se jarjar, chhat se tapakta pani aur girte hisson se bachchon ki suraksha par khatra

 भानपुर जनपद के बड़ोदिया प्राथमिक विद्यालय का भवन 7-8 साल से जर्जर, छत से टपकता पानी और गिरते हिस्सों से बच्चों की सुरक्षा पर खतरा  Bhanpura janpad ke Badodiya prathmik vidyalaya ka bhavan 7-8 saal se jarjar, chhat se tapakta pani aur girte hisson se bachchon ki suraksha par khatra


मंदसौर। आज तक 24

आज तक 24 न्यूज़ को सूत्रों से मिली जानकारी के अनुसार, जिला मंदसौर के जनपद भानपुर क्षेत्र के ग्राम बड़ोदिया स्थित शासकीय प्राथमिक विद्यालय का भवन पिछले 7-8 वर्षों से जर्जर हालत में है। स्कूल की छत से बारिश का पानी टपकता है और छत के टूटे हिस्से गिरने से विद्यार्थियों की सुरक्षा पर खतरा बना हुआ है। शिक्षक करण सिंह दायमा एवं विवेक सर द्वारा भवन की मरम्मत को लेकर लिखित आवेदन दिए जाने के बावजूद अब तक समस्या का निराकरण नहीं हुआ। करीब 2 माह पहले बीईओ ने निरीक्षण कर समस्या के समाधान का आश्वासन दिया था, लेकिन स्थिति जस की तस है। विद्यालय में मध्यान्ह भोजन सहित अन्य सुविधाएं नियमित रूप से उपलब्ध हैं, मुख्य समस्या भवन की जर्जर स्थिति है। आजतक 24 न्यूज़ द्वारा इस संबंध में जनपद भानपुरा बीईओ दिनेश सोनी से फोन पर संपर्क करने का प्रयास किया गया, लेकिन संपर्क नहीं हो सका। इसके बाद विभागीय निगरानी, जांच और कार्रवाई से जुड़े सवाल व्हाट्सऐप के माध्यम से भेजे गए।

Mandsaur | Aaj Tak 24

Aaj Tak 24 News ko sutron se mili jankari ke anusar, jila Mandsaur ke janpad Bhanpura kshetra ke gram Badodiya sthit shaskiya prathmik vidyalaya ka bhavan pichhle 7-8 varshon se jarjar halat mein hai। School ki chhat se barish ka pani tapakta hai aur chhat ke toote hisse girne se vidyarthiyon ki suraksha par khatra bana hua hai। Shikshak Karan Singh Dayama evam Vivek Sir dwara bhavan ki marammat ko lekar likhit aavedan diye jaane ke bawajood ab tak samasya ka nirakaran nahi hua। Kareeb 2 maah pehle BEO ne nirikshan kar samasya ke samadhan ka aashwasan diya tha, lekin sthiti jas ki tas hai। Vidyalaya mein madhyanh bhojan sahit anya suvidhayein niyamit roop se uplabdh hain, mukhya samasya bhavan ki jarjar sthiti hai। AajTak 24 News dwara is sambandh mein janpad Bhanpura BEO Dinesh Soni se phone par sampark karne ka prayas kiya gaya, lekin sampark nahi ho saka। Iske baad vibhagiya nigrani, jaanch aur karwai se jude sawal WhatsApp ke madhyam se bheje gaye।




Post a Comment

Previous Post Next Post