तलैया टोला के प्राथमिक स्कूल में बदहाल व्यवस्थाएं! 60-65 बच्चों पर दो शिक्षक, 12 साल से शौचालय बंद Talaiya Tola ke prathmik school mein badhaal vyavasthayein! 60-65 bachchon par do shikshak, 12 saal se shauchalay band
नर्मदापुरम। आज तक 24
नर्मदापुरम जिले के बनखेड़ी ब्लॉक के तलैया टोला स्थित प्राथमिक विद्यालय में शिक्षा और बुनियादी सुविधाओं की स्थिति चिंताजनक है। आज तक 24 न्यूज़ के सर्वे और सूत्रों से मिली जानकारी के अनुसार, स्कूल में करीब 60-65 बच्चे अध्ययनरत हैं, लेकिन केवल दो शिक्षक उपलब्ध हैं। ग्रामीण राजकुमार अहिरवार के अनुसार, इनमें से एक शिक्षक को अक्सर बैठकों, सर्वे और अन्य कार्यों में लगा दिया जाता है, जिससे बच्चों की पढ़ाई प्रभावित होती है। स्कूल में पेयजल व्यवस्था अधूरी है और करीब 12-13 साल पहले बना शौचालय भी बंद पड़ा है। ग्रामीण ने मध्यान्ह भोजन निर्धारित मेन्यू और मात्रा के अनुसार नहीं मिलने तथा विद्यार्थियों को मिलने वाली सुविधाओं में अनियमितता के आरोप भी लगाए हैं। इस संबंध में बनखेड़ी BEO श्री एस.एल. रघुवंशी से संपर्क करने का प्रयास किया गया। उन्होंने WhatsApp के माध्यम से जवाब देते हुए कहा, जी, मैं संबंधित विद्यालय की जांच कराकर आपको जानकारी देता हूं। अधिकारी के इस आश्वासन के बाद विद्यालय की जांच और उसकी रिपोर्ट का इंतजार है। जांच के बाद प्राप्त जानकारी एवं आधिकारिक पक्ष को भी खबर में शामिल किया जाएगा।
Narmadapuram | Aaj Tak 24
Narmadapuram jile ke Bankhedi block ke Talaiya Tola sthit prathmik vidyalaya mein shiksha aur buniyadi suvidhaon ki sthiti chintajanak hai. Aaj Tak 24 News ke survey aur sutron se mili jankari ke anusar, school mein kareeb 60-65 bachche adhyayanrat hain, lekin keval do shikshak uplabdh hain. Gramin Rajkumar Ahirwar ke anusar, inmein se ek shikshak ko aksar baithakon, survey aur anya karyon mein laga diya jaata hai, jisse bachchon ki padhai prabhavit hoti hai. School mein peyjal vyavastha adhoori hai aur kareeb 12-13 saal pehle bana shauchalay bhi band pada hai. Gramin ne madhyanh bhojan nirdharit menu aur matra ke anusar nahi milne tatha vidyarthiyon ko milne wali suvidhaon mein aniyamitata ke aarop bhi lagaye hain. Is sambandh mein Bankhedi BEO Shri S.L. Raghuvanshi se sampark karne ka prayas kiya gaya. Unhonne WhatsApp ke madhyam se jawab dete hue kaha, ji, main sambandhit vidyalaya ki jaanch karakar aapko jankari deta hoon. Adhikari ke is aashwasan ke baad vidyalaya ki jaanch aur uski report ka intezar hai. Jaanch ke baad prapt jankari evam adhikarik paksh ko bhi khabar mein shamil kiya jayega.
