लंबी पंचायत के प्राथमिक स्कूल में 100 से अधिक बच्चे, पढ़ाई के लिए केवल दो शिक्षक Lambi panchayat ke prathmik school mein 100 se adhik bachche, padhai ke liye keval do shikshak
बड़वानी। आज तक 24
जिले के पाटी ब्लॉक की ग्राम पंचायत लंबी के प्राथमिक विद्यालय में शिक्षकों की कमी का मामला सामने आया है। आजतक 24 न्यूज़ के सूत्रों से मिली जानकारी के अनुसार, विद्यालय में 100 से अधिक बच्चे अध्ययनरत हैं, जबकि उन्हें पढ़ाने के लिए केवल दो शिक्षक हैं। ऐसे में सभी कक्षाओं का संचालन और बच्चों को गुणवत्तापूर्ण शिक्षा देना चुनौतीपूर्ण है। शिक्षकों की कमी से बच्चों की पढ़ाई प्रभावित होने की आशंका है। बीईओ राजश्री पवार से संपर्क करने पर उन्होंने बताया कि वे जनविश्वास शिविर में हैं और यहां नेटवर्क कवरेज उपलब्ध नहीं है। उन्होंने बाद में बात करने की बात कही।
Barwani | Aaj Tak 24
Jile ke Pati block ki gram panchayat Lambi ke prathmik vidyalaya mein shikshakon ki kami ka mamla samne aaya hai. Aajtak 24 News ke sutron se mili jankari ke anusar, vidyalaya mein 100 se adhik bachche adhyayanrat hain, jabki unhen padhane ke liye keval do shikshak hain. Aise mein sabhi kakshaon ka sanchalan aur bachchon ko gunvattapurna shiksha dena chunautipurna hai. Shikshakon ki kami se bachchon ki padhai prabhavit hone ki aashanka hai. BEO Rajshree Pawar se sampark karne par unhonne bataya ki ve Janvishwas shivir mein hain aur yahan network coverage uplabdh nahi hai. Unhonne baad mein baat karne ki baat kahi।
