 |
| जनता दरबार में राज्यमंत्री प्रतिमा बागरी ने सुनी आमजन की समस्याएं, अधिकारियों को दिए निराकरण के निर्देश Janta darbar mein rajyamantri pratima bagri ne suni aamjan ki samasyaen, adhikariyon ko diye nirakaran ke nirdesh |
सतना। आज तक 24 नगरीय विकास एवं आवास राज्यमंत्री श्रीमती प्रतिमा बागरी ने रविवार को सतना स्थित विधानसभा क्षेत्र कार्यालय में जनता दरबार आयोजित कर आम नागरिकों की समस्याएं सुनीं। इस दौरान जिले के विभिन्न क्षेत्रों से पहुंचे लोगों ने अपनी समस्याएं और शिकायतें राज्यमंत्री के समक्ष रखीं। जनता दरबार में आम नागरिकों के साथ क्षेत्र के गणमान्य नागरिक भी मौजूद रहे। राज्यमंत्री श्रीमती बागरी ने प्रत्येक आवेदक की समस्या को गंभीरता से सुना और मौके पर उपस्थित संबंधित विभागों के अधिकारियों को आवश्यक कार्रवाई के निर्देश दिए। जिन समस्याओं का निराकरण विभागीय स्तर पर संभव था, उनके समाधान की प्रक्रिया अधिकारियों के माध्यम से शुरू कराई गई। वहीं, जिन मामलों का निराकरण शासन स्तर से किया जाना आवश्यक है, उनके संबंध में विस्तृत प्रतिवेदन तैयार कर शासन को भेजने के निर्देश दिए गए।
Satna. Aaj Tak 24 Nagariya vikas evam aawas rajyamantri shrimati pratima bagri ne raviwar ko satna sthit vidhansabha kshetra karyalaya mein janta darbar aayojit kar aam nagrikon ki samasyaen suni. Is dauran jile ke vibhinn kshetron se pahunche logon ne apni samasyaen aur shikayaten rajyamantri ke samaksh rakhi. Janta darbar mein aam nagrikon ke saath kshetra ke ganamanya nagrik bhi maujood rahe. Rajyamantri shrimati bagri ne pratyek aavedak ki samasya ko gambhirta se suna aur mauke par upasthit sambandhit vibhagon ke adhikariyon ko aavashyak karwai ke nirdesh diye. Jin samasyaon ka nirakaran vibhagiya star par sambhav tha, unke samadhan ki prakriya adhikariyon ke madhyam se shuru karai gayi. Wahin, jin mamlon ka nirakaran shasan star se kiya jana aavashyak hai, unke sambandh mein vistrit prativedan taiyar kar shasan ko bhejne ke nirdesh diye gaye.